Meri tanhai barhate hain... - Quotes Valley

Motivational Quotes In Urdu | Inspirational Quotes In Urdu | Success Quotes In Urdu | Amazing quotes in Urdu | Urdu quotes written | Urdu quotes in English | Urdu love quotes in English | Motivational quotes in urdu | Friendship quotes in Urdu | Relationship Quotes in Urdu

Thursday, February 6, 2014

Meri tanhai barhate hain...

Meri tanhai barhate hain chale jate hain,
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,

Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta,
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,

Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,

Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,
Aap aate hain rulate hain chale jate hain,

Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,
Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,

Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,
Aap to aag lagate hain chale jate hain,

Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,
Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain..

Abbas Tabish

No comments:

Post a Comment